Friday, August 12, 2016

Alwida

Likha toh bahut hai
par dil roya aabhi tak nahi.
Dekh Kar husan kisi ka
aakho sai aasu niklai kabhi nahi.
Tunai rula toh diya
woh toh sahi
par dard Jo diya
woh sahi nahi.
Jaan aapni lai lu ya teri
yeh soch Kar preshan mai hu aabhi.
Dard dono mai mujko hi hoga
aasu terai niklai ya merai
geela aangan mera hi hoga.
Roktai huhai ruktai nahi
yeh aasu merai
pagal tunai mujko kiya
aab mai yeh kisko kahu.
Hastai huai alwida kehna
yeh mujsai hoga nahi. 
Chahai toh chali ja
mai rokta nahi.
Husan kai jalwai
kisi aur ko dikha
ho sakta hai daam aacha laga dai koi.
Meri jalti Chita par mombati toh laga dai koi.
Alwida alwida
mujsai juda hokai
rooj tu aasai marai
jasai pyasa pani ko marai.